ek muddat se mere ghar mein na aaya koi
ek muddat se mire ghar meñ na aaya koī
phir bhī āñgan meñ nazar aatā hai saayā koī
mujh ko ik zaḳhmī parinde kā ḳhayāl aatā hai
shāḳh se TuuT ke uḌtā hai jo patta koī
log ghabrā ke nikal aa.e haiñ maidānoñ meñ
habs aisā hai ki aatā nahīñ jhoñkā koī
be-ḳhabar vaqt ke dhāre pe bahe jaate haiñ
kyā ḳhabar kaun sī manzil pe hai pahuñchā koī
rang kyā kyā na samā.e haiñ mirī āñkhoñ meñ
sūrat-e-naqsh magar dil meñ na utrā koī
jo mirī ruuh ke zaḳhmoñ kā mudāvā le 'zamān'
mujh ko is shahr meñ miltā nahīñ aisā koī
ek muddat se mere ghar mein na aaya koi
phir bhi aangan mein nazar aata hai saya koi
mujh ko ek zaKHmi parinde ka KHayal aata hai
shaKH se TuT ke uDta hai jo patta koi
log ghabra ke nikal aae hain maidanon mein
habs aisa hai ki aata nahin jhonka koi
be-KHabar waqt ke dhaare pe bahe jate hain
kya KHabar kaun si manzil pe hai pahuncha koi
rang kya kya na samae hain meri aankhon mein
surat-e-naqsh magar dil mein na utra koi
jo meri ruh ke zaKHmon ka mudawa le 'zaman'
mujh ko is shahr mein milta nahin aisa koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.