Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

Farah iqbal

ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    ek muddat se yahāñ Thahrā huā paanī hai

    dasht-e-tanhā.ī hai aur aañkh meñ vīrānī hai

    dekho ḳhāmosh jhīloñ ke kināre ab bhī

    sog meñ lipTe daraḳhtoñ farāvānī hai

    aa.ina dekhne taab kahāñ thī mujh meñ

    saaf likkhī thī jo chehre pe pashemānī hai

    dasht-e-vahshat meñ charāġhoñ ko jalā.ūñ kaise

    in charāġhoñ se havāoñ ko pareshānī hai

    sāya-e-abr-e-tavajjoh ḳhabar kyā hotī

    zindagī maiñ ne to sahrāoñ se pahchānī hai

    apne maazī ko mujhe dafn bhī ḳhud karnā hai

    ye qayāmat bhī dil-o-jāñ pe abhī Dhānī hai

    ab ke chamkā hai sitārā jo 'farah' baḳht hai

    tire atrāf usī hai jo tābānī hai

    ek muddat se yahan Thahra hua pani hai

    dasht-e-tanhai hai aur aankh mein virani hai

    dekho KHamosh si jhilon ke kinare ab bhi

    sog mein lipTe daraKHton ki farawani hai

    aaina dekhne ki tab kahan thi mujh mein

    saf likkhi thi jo chehre pe pashemani hai

    dasht-e-wahshat mein charaghon ko jalaun kaise

    in charaghon se hawaon ko pareshani hai

    saya-e-abr-e-tawajjoh ki KHabar kya hoti

    zindagi main ne to sahraon se pahchani hai

    apne mazi ko mujhe dafn bhi KHud karna hai

    ye qayamat bhi dil-o-jaan pe abhi Dhani hai

    ab ke chamka hai sitara jo 'farah' baKHt ka hai

    tere atraf usi ki hai jo tabani hai

    Source :
    • Book : Koi bhi rut ho (Pg. 157)
    • Author : Farah iqbal
    • Publication : Alhamd Publications (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now