ek nang-e-wajud kya tha main
ek nang-e-vajūd kyā thā maiñ
apne andar khulā paḌā thā maiñ
darmiyāñ aa gayā vo jān-e-ġhazal
shahr-āshob likh rahā thā maiñ
tujh pe sāñsoñ ko ḳharch kartā rahā
muflisī meñ bhī kab rukā thā maiñ
vo na utrā havā ke jhūle se
farsh-e-gul sā bichhā huā thā maiñ
'arz fidvī kī ab to sun liije
kah rahā hai kabhī ḳhudā thā maiñ
pūchh mujh se 'azāb-e-yaktā.ī
apne atrāf ghūmtā thā maiñ
DhūñDhtā huuñ ab apne purzoñ ko
apne hone kā ik nasha thā maiñ
ek nang-e-wajud kya tha main
apne andar khula paDa tha main
darmiyan aa gaya wo jaan-e-ghazal
shahr-ashob likh raha tha main
tujh pe sanson ko KHarch karta raha
muflisi mein bhi kab ruka tha main
wo na utra hawa ke jhule se
farsh-e-gul sa bichha hua tha main
'arz fidwi ki ab to sun lije
kah raha hai kabhi KHuda tha main
puchh mujh se 'azab-e-yaktai
apne atraf ghumta tha main
DhunDhta hun ab apne purzon ko
apne hone ka ek nasha tha main
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 102)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.