ek nishani aag mein phenki ek nishani dariya mein
ek nishānī aag meñ pheñkī ek nishānī dariyā meñ
aur phir itne ashk bahe ki jitnā paanī dariyā meñ
ek mohabbat kachche ghaḌe par jab se tair ke aa.ī hai
maujeñ likkhā kartī haiñ har roz kahānī dariyā meñ
thak jaao to rasta badlo apnī apnī naav kā
kyā dariyā se laḌnā aur kyā aag lagā.ī dariyā meñ
shāyad koī apnī ġhurbat ke hāthoñ majbūr huī
ek chunariyā bahte dekhī kal shab dhānī dariyā meñ
'tāhir' ḳhair ho sab kī lekin kuchh anhonī lagtī hai
jangal meñ kitnī halchal kitnī vīrānī dariyā meñ
ek nishani aag mein phenki ek nishani dariya mein
aur phir itne ashk bahe ki jitna pani dariya mein
ek mohabbat kachche ghaDe par jab se tair ke aai hai
maujen likkha karti hain har roz kahani dariya mein
thak jao to rasta badlo apni apni naw ka
kya dariya se laDna aur kya aag lagai dariya mein
shayad koi apni ghurbat ke hathon majbur hui
ek chunariya bahte dekhi kal shab dhani dariya mein
'tahir' KHair ho sab ki lekin kuchh anhoni lagti hai
jangal mein kitni halchal kitni virani dariya mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.