ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae
ek pal meñ dam-e-guftār se lab-e-tar ho jaa.e
tujh se jo baat bhī kar le vo suḳhan-var ho jaa.e
ab yahāñ sirf parī-chehra raheñge aa kar
aur koī in ke alāva hai to bāhar ho jaa.e
ho gayā rishta-e-jāñ phir dil-e-nādān ke saath
is sipāhī kī tamannā hai ki lashkar ho jaa.e
ab ke Thahrā.ī hai ham ne bhī yahī shart-e-vafā
jo bhī is shahr meñ aa.e vo sitam-gar ho jaa.e
yaanī ai dīda-e-tar terī ināyat hai ki bas
varna maidān-e-suḳhan aaj hī banjar ho jaa.e
ham ne āshob ke aalam meñ kahī hai ye ġhazal
so ye ḳhvāhish hai ki har sher gul-e-tar ho jaa.e
ek pal mein dam-e-guftar se lab-e-tar ho jae
tujh se jo baat bhi kar le wo suKHan-war ho jae
ab yahan sirf pari-chehra rahenge aa kar
aur koi in ke alawa hai to bahar ho jae
ho gaya rishta-e-jaan phir dil-e-nadan ke sath
is sipahi ki tamanna hai ki lashkar ho jae
ab ke Thahrai hai hum ne bhi yahi shart-e-wafa
jo bhi is shahr mein aae wo sitam-gar ho jae
yani ai dida-e-tar teri inayat hai ki bas
warna maidan-e-suKHan aaj hi banjar ho jae
hum ne aashob ke aalam mein kahi hai ye ghazal
so ye KHwahish hai ki har sher gul-e-tar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.