ek pal mein hi hawaon ke asar se gir gae
ek pal meñ hī havāoñ ke asar se gir ga.e
kaise kaise log me'yār-e-safar se gir ga.e
kuchh to rakhnā chāhiye thā apnī 'azmat kā bharam
vo samundar kyā jo qatroñ kī nazar se gir ga.e
sāzisheñ hone lagīñ ūñche daraḳhtoñ ke ḳhilāf
zard patte kyā havāoñ ke asar se gir ga.e
dāstāñ apnī agar hai bhī to bas itnī sī hai
chaak se utre to dast-e-kūza-gar se gir ga.e
dar-haqīqat ġham agar hai ġham mujhe ye hai 'jamāl'
jin pe takiya thā vo patthar bām-o-dar se gir ga.e
ek pal mein hi hawaon ke asar se gir gae
kaise kaise log me'yar-e-safar se gir gae
kuchh to rakhna chahiye tha apni 'azmat ka bharam
wo samundar kya jo qatron ki nazar se gir gae
sazishen hone lagin unche daraKHton ke KHilaf
zard patte kya hawaon ke asar se gir gae
dastan apni agar hai bhi to bas itni si hai
chaak se utre to dast-e-kuza-gar se gir gae
dar-haqiqat gham agar hai gham mujhe ye hai 'jamal'
jin pe takiya tha wo patthar baam-o-dar se gir gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.