ek parda haTa ek chehra khula raat Dhalne lagi rut badalne lagi
ek parda haTa ek chehra khula raat Dhalne lagi rut badalne lagi
Akhtar Husain Jafri
MORE BYAkhtar Husain Jafri
ek parda haTā ek chehra khulā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
chāñd chaltā huā mahr se jā milā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
dil se niklā laboñ tak savāl aa gayā apne rahne se chal kar ġhazāl aa gayā
band raḳht-e-sabā bāb-e-nāfā khulā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
apne apne safar par pharere chale raat ke lashkarī muñh-añdhere chale
paañv paañv chalā be-sipar rāsta raat Dhalne lagī rut badalne lagī
shāḳh par pattiyoñ kī zabāneñ khulīñ nuur kī chhāñv meñ phir dukāneñ khulīñ
ḳhvāb tulne lage ġham tarāzū huā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
tishnagī kā sitārā zavāloñ meñ hai aaj apnā safar apne pyāloñ meñ hai
rang achchhā lagā zahr mīThā lagā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
jam.a hone lagī fasl sadmāt kī pattharoñ par milīñ chūḌiyāñ haat kī
ek fard-e-sazā ek nauha milā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
satrr-e-ma.atūb par uzr-ḳhvāhī na thī mere ḳhat par kisī kī gavāhī na thī
faisla jo huā āḳhir-e-shab huā raat Dhalne lagī rut badalne lagī
ek parda haTa ek chehra khula raat Dhalne lagi rut badalne lagi
chand chalta hua mahr se ja mila raat Dhalne lagi rut badalne lagi
dil se nikla labon tak sawal aa gaya apne rahne se chal kar ghazal aa gaya
band raKHt-e-saba bab-e-nafa khula raat Dhalne lagi rut badalne lagi
apne apne safar par pharere chale raat ke lashkari munh-andhere chale
panw panw chala be-sipar rasta raat Dhalne lagi rut badalne lagi
shaKH par pattiyon ki zabanen khulin nur ki chhanw mein phir dukanen khulin
KHwab tulne lage gham taraazu hua raat Dhalne lagi rut badalne lagi
tishnagi ka sitara zawalon mein hai aaj apna safar apne pyalon mein hai
rang achchha laga zahr miTha laga raat Dhalne lagi rut badalne lagi
jama hone lagi fasl sadmat ki pattharon par milin chuDiyan hat ki
ek fard-e-saza ek nauha mila raat Dhalne lagi rut badalne lagi
satrr-e-matub par uzr-KHwahi na thi mere KHat par kisi ki gawahi na thi
faisla jo hua aaKHir-e-shab hua raat Dhalne lagi rut badalne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.