ek raat aati hai ek raat jati hai
ek raat aatī hai ek raat jaatī hai
gesuoñ ke saa.e meñ kis ko niiñd aatī hai
silsila ġham-e-dil kā be-sabab nazar aayā
sham' se koī pūchhe kyoñ lahū jalātī hai
husn se bhī kuchh baḌh kar be-niyāz hai ye ġham
dāġh-e-dil mohabbat bhī gin ke bhuul jaatī hai
naam paḌ gayā us kā kūcha-e-haram lekin
ye galī bhī ai zāhid mai-kade ko jaatī hai
chalte chalte nabz-e-ġham Dūbtī hai yuuñ aksar
ik thake musāfir ko jaise niiñd aatī hai
haath rakhtī jaatī hai yaas dil ke dāġhoñ par
maiñ diyā jalātā huuñ vo diyā bujhātī hai
miT ga.e 'nushūr' aa kar zehn meñ hazāroñ ġham
she’riyat kā 'ālam bhī ramz-e-be-sabātī hai
ek raat aati hai ek raat jati hai
gesuon ke sae mein kis ko nind aati hai
silsila gham-e-dil ka be-sabab nazar aaya
sham' se koi puchhe kyon lahu jalati hai
husn se bhi kuchh baDh kar be-niyaz hai ye gham
dagh-e-dil mohabbat bhi gin ke bhul jati hai
nam paD gaya us ka kucha-e-haram lekin
ye gali bhi ai zahid mai-kade ko jati hai
chalte chalte nabz-e-gham Dubti hai yun aksar
ek thake musafir ko jaise nind aati hai
hath rakhti jati hai yas dil ke daghon par
main diya jalata hun wo diya bujhati hai
miT gae 'nushur' aa kar zehn mein hazaron gham
she’riyat ka 'alam bhi ramz-e-be-sabaati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.