ek raat lagti hai ek sahar banane mein
ek raat lagtī hai ik sahar banāne meñ
ham ne kyoñ nahīñ sochā ham-safar banāne meñ
manzileñ badalte ho par tumheñ nahīñ mālūm
umreñ biit jaatī haiñ rahguzar banāne meñ
umr bhar rahā ham par us kā hī asar haavī
be-asar rahe jis par ham asar banāne meñ
mauj meñ banātā huuñ jism jis parinde kā
ruuh kaañp uThtī hai us ke par banāne meñ
terī yaad kī gaaḌī kuchh madad kareñ shāyad
is tavīl raste ko muḳhtasar banāne meñ
ek raat lagti hai ek sahar banane mein
hum ne kyon nahin socha ham-safar banane mein
manzilen badalte ho par tumhein nahin malum
umren bit jati hain rahguzar banane mein
umr bhar raha hum par us ka hi asar hawi
be-asar rahe jis par hum asar banane mein
mauj mein banata hun jism jis parinde ka
ruh kanp uThti hai us ke par banane mein
teri yaad ki gaDi kuchh madad karen shayad
is tawil raste ko muKHtasar banane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.