ek saz-e-hashr-za sham-o-sahar bajne laga
ek sāz-e-hashr-zā shām-o-sahar bajne lagā
zalzaloñ kī thartharāhaT se nagar bajne lagā
jaag uThīñ añgḌā.iyāñ letī huī saarī dhuneñ
mogarī kī choT paḌte hī gajar bajne lagā
khiñch rahī thiiñ saaz ke tāroñ kī sūrat sab naseñ
us ne kyā chheḌā mujhe maiñ sar-basar bajne lagā
raaz ke ghuñghrū ko dāman se na yuuñ bāñdhe phiro
kyā batāoge kisī ko ye agar bajne lagā
soch kī āñdhī se sar meñ gūñjtī haiñ sīTiyāñ
maiñ ye tanhā.ī meñ kyā baiThā ki sar bajne lagā
us ke istiqbāl meñ māhaul ḳhud bajtā rahā
gungunā uTThe darīche aur dar bajne lagā
aane vaale ne to bas zanjīr-e-dar khaḌkā.ī thī
us kī mausīqī se lekin ghar kā ghar bajne lagā
pattiyoñ meñ jugnuoñ kī ātishīñ jhankār sī
shab kī tārīkī meñ ik suunā shajar bajne lagā
ek āvāz-e-shikast-e-sāz kī sī kaifiyat
apnī vīrānī kī larzish se khañDar bajne lagā
aap kī shohrat kā tūfāñ ab rukegā kis tarah
merī rusvā.ī kā Dankā dar-ba-dar bajne lagā
ek saz-e-hashr-za sham-o-sahar bajne laga
zalzalon ki thartharahaT se nagar bajne laga
jag uThin angDaiyan leti hui sari dhunen
mogari ki choT paDte hi gajar bajne laga
khinch rahi thin saz ke taron ki surat sab nasen
us ne kya chheDa mujhe main sar-basar bajne laga
raaz ke ghunghru ko daman se na yun bandhe phiro
kya bataoge kisi ko ye agar bajne laga
soch ki aandhi se sar mein gunjti hain siTiyan
main ye tanhai mein kya baiTha ki sar bajne laga
us ke istiqbaal mein mahaul KHud bajta raha
gunguna uTThe dariche aur dar bajne laga
aane wale ne to bas zanjir-e-dar khaDkai thi
us ki mausiqi se lekin ghar ka ghar bajne laga
pattiyon mein jugnuon ki aatishin jhankar si
shab ki tariki mein ek suna shajar bajne laga
ek aawaz-e-shikast-e-saz ki si kaifiyat
apni virani ki larzish se khanDar bajne laga
aap ki shohrat ka tufan ab rukega kis tarah
meri ruswai ka Danka dar-ba-dar bajne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.