ek sach hai jise KHwabon ne bacha rakkha hai
ek sach hai jise ḳhvāboñ ne bachā rakkhā hai
is mohabbat ko kitāboñ ne bachā rakkhā hai
ek bachche ke savāloñ se banī hai duniyā
jis ko ik maañ ke javāboñ ne bachā rakkhā hai
koī achchhā na rahe to na rahegā kuchh bhī
thoḌe achchhoñ ko ḳharāboñ ne bachā rakkhā hai
dil kī dhaḌkan se to dushvār huā thā jiinā
mujh ko duniyā ke hisāboñ ne bachā rakkhā hai
muddateñ ho ga.iiñ dekhā ye kisī ne bhī nahīñ
kaun sā chehra naqāboñ ne bachā rakkhā hai
ye samundar ye talātum aur akelī kashtī
jis ko hastī ke ḳhitāboñ ne bachā rakkhā hai
soch kal ke liye itnā bhī sañjo pā.egā
jo gunāhoñ se savāboñ ne bachā rakkhā hai
achchhe achchhoñ se na īmāñ kī ye daulat sañbhlī
is ko ham jaise ḳharāboñ ne bachā rakkhā hai
ab guzar jaa.eñ isī shahr ke sahrā meñ din
jis meñ sāyoñ ne sarāboñ ne bachā rakkhā hai
tere dāman meñ haiñ motī ye anūThe jin ko
zindagī tere 'azāboñ ne bachā rakkhā hai
ek sach hai jise KHwabon ne bacha rakkha hai
is mohabbat ko kitabon ne bacha rakkha hai
ek bachche ke sawalon se bani hai duniya
jis ko ek man ke jawabon ne bacha rakkha hai
koi achchha na rahe to na rahega kuchh bhi
thoDe achchhon ko KHarabon ne bacha rakkha hai
dil ki dhaDkan se to dushwar hua tha jina
mujh ko duniya ke hisabon ne bacha rakkha hai
muddaten ho gain dekha ye kisi ne bhi nahin
kaun sa chehra naqabon ne bacha rakkha hai
ye samundar ye talatum aur akeli kashti
jis ko hasti ke KHitabon ne bacha rakkha hai
soch kal ke liye itna bhi sanjo paega
jo gunahon se sawabon ne bacha rakkha hai
achchhe achchhon se na iman ki ye daulat sanbhli
is ko hum jaise KHarabon ne bacha rakkha hai
ab guzar jaen isi shahr ke sahra mein din
jis mein sayon ne sarabon ne bacha rakkha hai
tere daman mein hain moti ye anuThe jin ko
zindagi tere 'azabon ne bacha rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.