ek sard jang hai ab mohabbaten kahan
ek sard jañg hai ab mohabbateñ kahāñ
TūTte hue tilism phailtā huā dhuāñ
vo bhī apne husn se be-ḳhayāl ho chalā
aur ḳhvāb ban ga.iiñ merī sar-girāniyāñ
qais kī mohabbateñ kohkan kī chāhatīñ
aur ye rivāyateñ bhūltī kahāniyāñ
ham se pahle aur bhī kar ga.e vafā bahut
ḳhaak meñ milā chale ham bhī zindagāniyāñ
apne silsile se bhī kyā ḳhayāl aa.e haiñ
jaañ kī qadr kuchh nahīñ dil-ba-dast dil-barāñ
ek sard jang hai ab mohabbaten kahan
TuTte hue tilism phailta hua dhuan
wo bhi apne husn se be-KHayal ho chala
aur KHwab ban gain meri sar-giraniyan
qais ki mohabbaten kohkan ki chahatin
aur ye riwayaten bhulti kahaniyan
hum se pahle aur bhi kar gae wafa bahut
KHak mein mila chale hum bhi zindaganiyan
apne silsile se bhi kya KHayal aae hain
jaan ki qadr kuchh nahin dil-ba-dast dil-baran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.