ek se jazbe KHun mein surKHi ek hi thi
ek se jazbe ḳhuun meñ surḳhī ek hī thī
des judā the pyaar currency ek hī thī
us par bhī bas lailā lailā likkhā thā
us ke paas agarche taḳhtī ek hī thī
ghoḌe banānā chhoḌ diye kumhāroñ ne
gaañv meñ Dūbne vaalī laḌkī ek hī thī
hissa-bakhre baañT liye haiñ logoñ ne
bechāre kyā karte dhartī ek hī thī
phir koī tūfān na aayā Thiik huā
varna nuuh ke paas bhī kashtī ek hī thī
us ke ba.ad sarāb thā yā vīrāne the
saat zamīnoñ par bhī bastī ek hī thī
apne sāmne maiñ ḳhud hī saf-ārā thā
aur mirī bandūq meñ golī ek hī thī
ek se jazbe KHun mein surKHi ek hi thi
des juda the pyar currency ek hi thi
us par bhi bas laila laila likkha tha
us ke pas agarche taKHti ek hi thi
ghoDe banana chhoD diye kumhaaron ne
ganw mein Dubne wali laDki ek hi thi
hissa-bakhre banT liye hain logon ne
bechaare kya karte dharti ek hi thi
phir koi tufan na aaya Thik hua
warna nuh ke pas bhi kashti ek hi thi
us ke baad sarab tha ya virane the
sat zaminon par bhi basti ek hi thi
apne samne main KHud hi saf-ara tha
aur meri banduq mein goli ek hi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.