ek se paDte hain donon maqbaron par phul bhi
ek se paḌte haiñ donoñ maqbaroñ par phuul bhī
jannat-ul-firdaus meñ qātil bhī hai maqtūl bhī
dekh ai duniyā hameñ tartīb denā chhoḌ de
tū bigāḌegī hamārā roz kā ma.amūl bhī
un hasīñ hāthoñ ne likh kar jab miTāyā merā naam
maiñ yakā-yak ho gayā gumnām bhī maqbūl bhī
ye jo ta.ane de rahī hai barq-raftārī mujhe
vajd meñ aa jā.ūñ to paa.e na merī dhuul bhī
un dinoñ sab zāviye ik shakl par markūz the
jin dinoñ ījād ke raste meñ thā shāqūl bhī
ik suḳhan par daad mil jaatī hai ik par la.an taan
baat maiñ ma.aqūl bhī kartā huuñ nā-māqūl bhī
ek se paDte hain donon maqbaron par phul bhi
jannat-ul-firdaus mein qatil bhi hai maqtul bhi
dekh ai duniya hamein tartib dena chhoD de
tu bigaDegi hamara roz ka mamul bhi
un hasin hathon ne likh kar jab miTaya mera nam
main yaka-yak ho gaya gumnam bhi maqbul bhi
ye jo tane de rahi hai barq-raftari mujhe
wajd mein aa jaun to pae na meri dhul bhi
un dinon sab zawiye ek shakl par markuz the
jin dinon ijad ke raste mein tha shaqul bhi
ek suKHan par dad mil jati hai ek par lan tan
baat main maqul bhi karta hun na-maqul bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.