ek sitara TuT ke chakna-chur hua
ek sitāra TuuT ke chaknā-chūr huā
us ke aa jaane se itnā nuur huā
apne mutābiq sab ne apnā hijr chunā
kaun kisī kī ḳhātir kis se duur huā
us ke dil par ishq-tajallī utrī thī
dhīre dhīre vo patthar bhī tuur huā
dil-mandir meñ yaar kī puujā hotī hai
ya.anī ki ye ishq nahīñ kāfūr huā
hañste hañste dī thī us ne kun kī sadā
aur tamāsha phir dekho bharpūr huā
qisse jitne hijr-zada the yaad rahe
mil ke bichhaḌnā aise hī dastūr huā
sab ne us ke pairoñ meñ jāgīr dharī
phir maiñ bhī dil dharne ko majbūr huā
ek sitara TuT ke chakna-chur hua
us ke aa jaane se itna nur hua
apne mutabiq sab ne apna hijr chuna
kaun kisi ki KHatir kis se dur hua
us ke dil par ishq-tajalli utri thi
dhire dhire wo patthar bhi tur hua
dil-mandir mein yar ki puja hoti hai
yani ki ye ishq nahin kafur hua
hanste hanste di thi us ne kun ki sada
aur tamasha phir dekho bharpur hua
qisse jitne hijr-zada the yaad rahe
mil ke bichhaDna aise hi dastur hua
sab ne us ke pairon mein jagir dhari
phir main bhi dil dharne ko majbur hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.