ek sukhe shajar ka saya hun
ek sūkhe shajar kā saaya huuñ
maiñ bhī is dhuup kī re.āyā huuñ
mujh ko rakh le sameT kar dil meñ
maiñ tirī aañkh kā kirāya huuñ
tū badan ko TaToltā kyā hai
maiñ tirī ruuh meñ samāyā huuñ
aaj se tum nahīñ rahe mere
maiñ tumhāre liye parāyā huuñ
aaj phir us ne pūchhā kaise ho
aaj phir jhuuT bol aaya huuñ
hijr ab ke maze meñ guzregā
us kī tasvīr khīñch laayā huuñ
ek sukhe shajar ka saya hun
main bhi is dhup ki reaya hun
mujh ko rakh le sameT kar dil mein
main teri aankh ka kiraya hun
tu badan ko TaTolta kya hai
main teri ruh mein samaya hun
aaj se tum nahin rahe mere
main tumhaare liye paraya hun
aaj phir us ne puchha kaise ho
aaj phir jhuT bol aaya hun
hijr ab ke maze mein guzrega
us ki taswir khinch laya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.