ek suraj ko surKH-ru kar ke
ek sūraj ko surḳh-rū kar ke
lauT aa.ī huuñ us ko chhū kar ke
be-ġharaz aaj tak milā na koī
thak ga.ī maiñ bhī justujū kar ke
zahr kā jaam hī pilā.eñge
log mīThī sī guftugū kar ke
mujh pe uñglī uThā.iye lekin
aa.ina apne rū-ba-rū kar ke
terī yādeñ mirī 'ibādat haiñ
sochtī huuñ tujhe vuzū kar ke
terī jānib chale haiñ dīvāne
apne zaḳhmoñ ko phir rafū kar ke
ham ne dil se pukārā us ko ġhazal
apne chehre ko qibla-rū kar ke
ek suraj ko surKH-ru kar ke
lauT aai hun us ko chhu kar ke
be-gharaz aaj tak mila na koi
thak gai main bhi justuju kar ke
zahr ka jam hi pilaenge
log miThi si guftugu kar ke
mujh pe ungli uThaiye lekin
aaina apne ru-ba-ru kar ke
teri yaaden meri 'ibaadat hain
sochti hun tujhe wuzu kar ke
teri jaanib chale hain diwane
apne zaKHmon ko phir rafu kar ke
hum ne dil se pukara us ko ghazal
apne chehre ko qibla-ru kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.