ek tabir ka sam rakh ke chala jata hai
ek ta.abīr kā sam rakh ke chalā jaatā hai
ḳhvāb āñkhoñ meñ alam rakh ke chalā jaatā hai
jo bhī aatā hai mire dil meñ Thahar kar kuchh din
haath par hijr kā ġham rakh ke chalā jaatā hai
mujh ko jaldī to nahīñ hai pa mirā kūza-gar
chaak par ḳhaak ko nam rakh ke chalā jaatā hai
koī chupke se banātā hai ḳhad-o-ḳhāl tire
mujh ko tasvīr meñ zam rakh ke chalā jaatā hai
jab vo aatā hai mukammal hī use miltā huuñ
jab vo jaatā hai to kam rakh ke chalā jaatā hai
tujh ko ma.alūm kahāñ mujh pe guzartī hai kyā
tū to bas dil pe qadam rakh ke chalā jaatā hai
raat ḳhairāt meñ detī hai nayā din 'rāshid'
chāñd sūraj kā bharam rakh ke chalā jaatā hai
ek tabir ka sam rakh ke chala jata hai
KHwab aankhon mein alam rakh ke chala jata hai
jo bhi aata hai mere dil mein Thahar kar kuchh din
hath par hijr ka gham rakh ke chala jata hai
mujh ko jaldi to nahin hai pa mera kuza-gar
chaak par KHak ko nam rakh ke chala jata hai
koi chupke se banata hai KHad-o-KHal tere
mujh ko taswir mein zam rakh ke chala jata hai
jab wo aata hai mukammal hi use milta hun
jab wo jata hai to kam rakh ke chala jata hai
tujh ko malum kahan mujh pe guzarti hai kya
tu to bas dil pe qadam rakh ke chala jata hai
raat KHairaat mein deti hai naya din 'rashid'
chand suraj ka bharam rakh ke chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.