ek talab hai jo kai se bhar jaega
ek tālāb hai jo kaa.ī se bhar jā.egā
merā kamra mirī tanhā.ī se bhar jā.egā
duur tak phailā huā dil kā ye ḳhālī manzar
dekhte rahiye ki bīnā.ī se bhar jā.egā
peḌ kī khurdurī tah bel se chhup jā.egī
zaḳhm hai aur masīhā.ī se bhar jā.egā
jaise maiñ utrā huuñ dariyāoñ kī gahrā.ī meñ
mujh meñ paanī isī gahrā.ī se bhar jā.egā
ajnabiyyat kā ḳhalā hai jo hamāre mābain
ek din rang-e-shanāsā.ī se bhar jā.egā
ek talab hai jo kai se bhar jaega
mera kamra meri tanhai se bhar jaega
dur tak phaila hua dil ka ye KHali manzar
dekhte rahiye ki binai se bhar jaega
peD ki khurduri tah bel se chhup jaegi
zaKHm hai aur masihai se bhar jaega
jaise main utra hun dariyaon ki gahrai mein
mujh mein pani isi gahrai se bhar jaega
ajnabiyyat ka KHala hai jo hamare mabain
ek din rang-e-shanasai se bhar jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.