ek tahrir ka unwan na ho jaun kahin
ek tahrīr kā 'unvān na ho jā.ūñ kahīñ
maiñ kisī aur kī pahchān na ho jā.ūñ kahīñ
vo kare sab kī masīhā.ī mujhe to baḳhshe
us ke altāf pe qurbān na ho jā.ūñ kahīñ
koī tā'bīr muqayyad hai mire ḳhvāboñ meñ
ruuh aur qalb se zindān na ho jā.ūñ kahīñ
mujh se hogā na munavvar koī gosha dil kā
maiñ tamannāoñ kā lobān na ho jā.ūñ kahīñ
zindagī aaj tirī fikr nahīñ kī lekin
kal maiñ tujh hī se pareshān na ho jā.ūñ kahīñ
she'r kahne kā salīqa mujhe aa.e jab tak
Dar hai maiñ sāhib-e-dīvān na ho jā.ūñ kahīñ
merī nazroñ meñ jo manzar haiñ musalsal raqsāñ
un ke sur-tāl kā sāmān na ho jā.ūñ kahīñ
saj ga.e apne dar-o-bast to 'bebāk' magar
ab maiñ ghar ke liye mehmān na ho jā.ūñ kahīñ
ek tahrir ka 'unwan na ho jaun kahin
main kisi aur ki pahchan na ho jaun kahin
wo kare sab ki masihai mujhe to baKHshe
us ke altaf pe qurban na ho jaun kahin
koi ta'bir muqayyad hai mere KHwabon mein
ruh aur qalb se zindan na ho jaun kahin
mujh se hoga na munawwar koi gosha dil ka
main tamannaon ka loban na ho jaun kahin
zindagi aaj teri fikr nahin ki lekin
kal main tujh hi se pareshan na ho jaun kahin
she'r kahne ka saliqa mujhe aae jab tak
Dar hai main sahib-e-diwan na ho jaun kahin
meri nazron mein jo manzar hain musalsal raqsan
un ke sur-tal ka saman na ho jaun kahin
saj gae apne dar-o-bast to 'bebak' magar
ab main ghar ke liye mehman na ho jaun kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.