ek talwar hai talwar bhi do dhaari hai
ek talvār hai talvār bhī do dhārī hai
zindagī phuul hai patthar se magar bhārī hai
ek aadat sī hai bezār tabī.at rahnā
varna us vaqt kahāñ koī bhī be-zārī hai
sarfaroshī kā maza hai na ḳhatā-poshī kā
dushman-e-jān bhī jazbāt se ab aarī hai
aao sansār kī qīmat meñ lagā.eñ bolī
log kahte haiñ ki insān meñ nādārī hai
jaane kis soch ke lamhe ne chhuā hai tujh ko
ik ajab kaif mirī ruuh pe bhī taarī hai
tishna tishna se badan meñ hai sharābī nashsha
chashma-e-faiz tirī aañkh se phir jaarī hai
ek talwar hai talwar bhi do dhaari hai
zindagi phul hai patthar se magar bhaari hai
ek aadat si hai bezar tabiat rahna
warna us waqt kahan koi bhi be-zari hai
sarfaroshi ka maza hai na KHata-poshi ka
dushman-e-jaan bhi jazbaat se ab aari hai
aao sansar ki qimat mein lagaen boli
log kahte hain ki insan mein nadari hai
jaane kis soch ke lamhe ne chhua hai tujh ko
ek ajab kaif meri ruh pe bhi tari hai
tishna tishna se badan mein hai sharabi nashsha
chashma-e-faiz teri aankh se phir jari hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 554)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.