ek tanha kitab likkhunga
ek tanhā kitāb likkhūñgā
apne ġham kā hisāb likkhūñgā
lamha-lamha azaab likkhūñgā
zindagī ko sarāb likkhūñgā
ḳhūn-e-dil se qalam ko tar kar ke
tere ḳhat kā javāb likhūñgā
tū ne likkhe haiñ jo ḳhutūt mujhe
un kī maiñ ab kitāb likhūñgā
tujh ko zālim likhūñgā maiñ kaise
ḳhud ko ḳhāna-ḳharāb likkhūñgā
ḳhud ko zarra bhī likh nahīñ saktā
maiñ tujhe āftāb likkhūñgā
nashsha taarī ho dekhne se jise
tujh ko aisī sharāb likkhūñgā
saath 'ḳhushtar' bitā.e lamhoñ ko
ik adhūrā sā ḳhvāb likkhūñgā
ek tanha kitab likkhunga
apne gham ka hisab likkhunga
lamha-lamha azab likkhunga
zindagi ko sarab likkhunga
KHun-e-dil se qalam ko tar kar ke
tere KHat ka jawab likhunga
tu ne likkhe hain jo KHutut mujhe
un ki main ab kitab likhunga
tujh ko zalim likhunga main kaise
KHud ko KHana-KHarab likkhunga
KHud ko zarra bhi likh nahin sakta
main tujhe aaftab likkhunga
nashsha tari ho dekhne se jise
tujh ko aisi sharab likkhunga
sath 'KHushtar' bitae lamhon ko
ek adhura sa KHwab likkhunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.