ek taraf se andhe hote hain
ek taraf se andhe hote haiñ
kaise ye ā.īne hote haiñ
kisī ko jo koī rañj nahīñ dete
log vo kitne achchhe hote haiñ
tanhā.ī kā ḳhauf thakātā hai
yā phir bojhal raste hote haiñ
āñkheñ un ko dekh nahīñ pātīñ
dīvāroñ meñ chehre hote haiñ
jaltī haiñ jab qurbat kī sham.eñ
kitne raushan lamhe hote haiñ
shām-e-bahār ke dilkash hāthoñ meñ
yādoñ ke gul-daste hote haiñ
in ke baġhair har āñgan suunā hai
ghar kī raunaq bachche hote haiñ
jin meñ duurī rabt baḌhātī hai
aise bhī kuchh rishte hote haiñ
bāhar se to hañste haiñ 'nāzish'
andar log sisakte hote haiñ
ek taraf se andhe hote hain
kaise ye aaine hote hain
kisi ko jo koi ranj nahin dete
log wo kitne achchhe hote hain
tanhai ka KHauf thakata hai
ya phir bojhal raste hote hain
aankhen un ko dekh nahin patin
diwaron mein chehre hote hain
jalti hain jab qurbat ki shamen
kitne raushan lamhe hote hain
sham-e-bahaar ke dilkash hathon mein
yaadon ke gul-daste hote hain
in ke baghair har aangan suna hai
ghar ki raunaq bachche hote hain
jin mein duri rabt baDhati hai
aise bhi kuchh rishte hote hain
bahar se to hanste hain 'nazish'
andar log sisakte hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.