ek taswir aankhon mein aati hui ek jati hui
ek tasvīr āñkhoñ meñ aatī huī ek jaatī huī
phir vahī shaam hai phir vahī yaad hai dil dukhātī huī
shab ke dariyā meñ uThtī hai ik mauj-e-māzī balā-ḳhez kyuuñ
lauT jaatī hai kyuuñ sāhil-hāl se sab miTātī huī
aur kyā hone vaalā hai ab jo abhī tak nahīñ ho sakā
sun rahā huuñ kahīñ duur se phir sadā kun kī aatī huī
vaqt to kuchh lagegā par āḳhir ye kohsār kaT jā.egā
dard kī ik nadī mere siine se rāsta banātī huī
ek gul thā kahīñ par akelā udāsī meñ Duubā huā
ek titlī ḳhayāloñ meñ aatī huī muskurātī huī
dil samundar meñ Duube hue saare lafzoñ kī lāsheñ liye
kashtiyoñ āñso.oñ kī chalī aatī haiñ Dagmagātī huī
titliyāñ mere kamre meñ uḌtī huī jharnā bahātā huā
ik parī-zād apne vatan kī kahānī sunātī hoī
ek taswir aankhon mein aati hui ek jati hui
phir wahi sham hai phir wahi yaad hai dil dukhati hui
shab ke dariya mein uThti hai ek mauj-e-mazi bala-KHez kyun
lauT jati hai kyun sahil-haal se sab miTati hui
aur kya hone wala hai ab jo abhi tak nahin ho saka
sun raha hun kahin dur se phir sada kun ki aati hui
waqt to kuchh lagega par aaKHir ye kohsar kaT jaega
dard ki ek nadi mere sine se rasta banati hui
ek gul tha kahin par akela udasi mein Duba hua
ek titli KHayalon mein aati hui muskuraati hui
dil samundar mein Dube hue sare lafzon ki lashen liye
kashtiyon aansoon ki chali aati hain Dagmagati hui
titliyan mere kamre mein uDti hui jharna bahata hua
ek pari-zad apne watan ki kahani sunati hoi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.