ek taswir mein pinhan kai taswiren hain
ek tasvīr meñ pinhāñ ka.ī tasvīreñ haiñ
ḳhvāb to ek hai aur saikḌoñ ta.abīreñ haiñ
lab pe shīrīñ suḳhanī myaan meñ shamshīreñ haiñ
yaar kī sulh meñ bhī jang kī tadbīreñ haiñ
ishq kī bandagiyāñ rakhtī haiñ andāz na.e
in namāzoñ meñ azāneñ haiñ na takbīreñ haiñ
vasl se hai koī mahrūm koī diid se bhī
miltī jaltī huī ushshāq kī taqdīreñ haiñ
ham hue tum hue saaqī huā paimāna huā
shab kī mahfil meñ inhīñ chāroñ kī tanvīreñ haiñ
halqa-e-dām-e-alā.eq ho ki fikr-e-nāmūs
pā-e-āzādī-e-insāñ kī ye zanjīreñ haiñ
muḳhtalif jazboñ ke haiñ ā.ina-e-dil pe nuqūsh
ik muraqqā hai ki har rang kī tasvīreñ haiñ
rang phūloñ kā ziyā chāñd kī hūroñ kā jamāl
ye sab us mus.haf-e-ruḳhsār kī tafsīreñ haiñ
shā.erī kā mujhe da.avā nahīñ 'sāqib' phir bhī
mere ash.ār meñ jazbāt kī tasvīreñ haiñ
ek taswir mein pinhan kai taswiren hain
KHwab to ek hai aur saikDon tabiren hain
lab pe shirin suKHani myan mein shamshiren hain
yar ki sulh mein bhi jang ki tadbiren hain
ishq ki bandagiyan rakhti hain andaz nae
in namazon mein azanen hain na takbiren hain
wasl se hai koi mahrum koi did se bhi
milti jalti hui ushshaq ki taqdiren hain
hum hue tum hue saqi hua paimana hua
shab ki mahfil mein inhin chaaron ki tanwiren hain
halqa-e-dam-e-alaeq ho ki fikr-e-namus
pa-e-azadi-e-insan ki ye zanjiren hain
muKHtalif jazbon ke hain aaina-e-dil pe nuqush
ek muraqqa hai ki har rang ki taswiren hain
rang phulon ka ziya chand ki huron ka jamal
ye sab us mushaf-e-ruKHsar ki tafsiren hain
shaeri ka mujhe dawa nahin 'saqib' phir bhi
mere ashaar mein jazbaat ki taswiren hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.