ek Thahre hue talab mein halchal kar ke
ek Thahre hue tālāb meñ halchal kar ke
chain pā.egā na tū bhī mujhe be-kal kar ke
terī āñkhoñ ko diyā vaqt to lab chhūT ga.e
maiñ ne dekhā hī nahīñ tujh ko mukammal kar ke
apne joban kī tarah tū bhī hai alhaḌ jānāñ
tū ne sone ko pahan rakkhā hai pītal kar ke
terī bāhoñ ke havasnāk ta.assur kī qasam
tū ne chhoḌā hai mirā jism mo'attal kar ke
ek Thahre hue talab mein halchal kar ke
chain paega na tu bhi mujhe be-kal kar ke
teri aankhon ko diya waqt to lab chhuT gae
main ne dekha hi nahin tujh ko mukammal kar ke
apne joban ki tarah tu bhi hai alhaD jaanan
tu ne sone ko pahan rakkha hai pital kar ke
teri bahon ke hawasnak tassur ki qasam
tu ne chhoDa hai mera jism mo'attal kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.