ek titli ke par marne se hawaon ki lahron mein tufan paida hua
ek titli ke par marne se hawaon ki lahron mein tufan paida hua
Shahid Makuli
MORE BYShahid Makuli
ek titlī ke par mārne se havāoñ kī lahroñ meñ tūfān paidā huā
kaise chhoTe vuqūe se kitne baḌe ik vuqūe kā imkān paidā huā
shar-pasandī kā sho.ala diloñ tak jo pahuñchā to jal kar shabīheñ fanā ho ga.iiñ
nazr-e-ātish huiiñ ā.inoñ kī dukāneñ to hairat kā bohrān paidā huā
avval avval ye kirdār mazkūr thā zindagī kī purānī asātīr meñ
āḳhir āḳhir zehānat kī paivand-kārī se masnūī insān paidā huā
tujh se bichhḌā to guzrā sharar kī tarah maiñ bhī pal bhar chamakne ke ehsās se
apnī maujūdgī kā ḳhayāl apne mādūm hone ke daurān paidā huā
dil meñ ġhaflat kī lahroñ ke Takrāo se terī yādoñ kī tarsīl ruk jā.egī
ye zamīñ Duub jā.egī tārīkiyoñ meñ agar shamsī tūfān paidā huā
ek hī ruuh fitrat ke asrār meñ kār-farmā hai ashyā se anfās tak
jis kī sūrat-garī ko kahīñ koī shā.ir kahīñ kīmiyā-dān paidā huā
ek titli ke par marne se hawaon ki lahron mein tufan paida hua
kaise chhoTe wuque se kitne baDe ek wuque ka imkan paida hua
shar-pasandi ka shoala dilon tak jo pahuncha to jal kar shabihen fana ho gain
nazr-e-atish huin aainon ki dukanen to hairat ka bohran paida hua
awwal awwal ye kirdar mazkur tha zindagi ki purani asatir mein
aaKHir aaKHir zehanat ki paiwand-kari se masnui insan paida hua
tujh se bichhDa to guzra sharar ki tarah main bhi pal bhar chamakne ke ehsas se
apni maujudgi ka KHayal apne madum hone ke dauran paida hua
dil mein ghaflat ki lahron ke Takrao se teri yaadon ki tarsil ruk jaegi
ye zamin Dub jaegi tarikiyon mein agar shamsi tufan paida hua
ek hi ruh fitrat ke asrar mein kar-farma hai ashya se anfas tak
jis ki surat-gari ko kahin koi shair kahin kimiya-dan paida hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.