ek tum itna lazmi kyon ho
ek tum itnā lāzmī kyoñ ho
phir mayassar kabhī kabhī kyoñ ho
jis ko jaanā hai vo chalā jaa.e
kah ke phir mujh ko roktī kyoñ ho
ye mire hijr kī kahānī hai
tum ise sun ke ro rahī kyoñ ho
tum bhī ho kyā charāġh muflis kā
shaam hote hī bujh ga.ī kyoñ ho
jab na pahuñche tumhāre dil tak ye
shā'irī kyā ho shā'irī kyoñ ho
dī ga.ī hai hameñ sazā meñ phir
itnī āsān zindagī kyoñ ho
diip raushan haiñ us kī yādoñ ke
mere kamre meñ tīrgī kyoñ ho
saath tum ho to vaqt achchhā hai
ab mire haath meñ ghaḌī kyoñ ho
ek tum itna lazmi kyon ho
phir mayassar kabhi kabhi kyon ho
jis ko jaana hai wo chala jae
kah ke phir mujh ko rokti kyon ho
ye mere hijr ki kahani hai
tum ise sun ke ro rahi kyon ho
tum bhi ho kya charagh muflis ka
sham hote hi bujh gai kyon ho
jab na pahunche tumhaare dil tak ye
sha'iri kya ho sha'iri kyon ho
di gai hai hamein saza mein phir
itni aasan zindagi kyon ho
dip raushan hain us ki yaadon ke
mere kamre mein tirgi kyon ho
sath tum ho to waqt achchha hai
ab mere hath mein ghaDi kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.