ek tu hai ki rasai hai teri har dil tak
ek tū hai ki rasā.ī hai tirī har dil tak
ek maiñ had hai mirī sirf tirī mahfil tak
dil ke raste se chalā to safar āsān huā
varna mushkil thā pahuñch paanā mirā manzil tak
le liyā naam jo girdāb meñ ghirte hī tirā
naav tūfān ne pahuñchā dī mirī sāhil tak
koī taarā nahīñ nāchīz sā zarra huuñ magar
le ke aa.ī kashish-e-ishq mah-e-kāmil tak
kushta-e-teġh-e-nazar hone kī chāhat meñ 'payām'
ḳhud khiñche aa.e haiñ ushshāq kū-e-qātil tak
ek tu hai ki rasai hai teri har dil tak
ek main had hai meri sirf teri mahfil tak
dil ke raste se chala to safar aasan hua
warna mushkil tha pahunch pana mera manzil tak
le liya nam jo girdab mein ghirte hi tera
naw tufan ne pahuncha di meri sahil tak
koi tara nahin nachiz sa zarra hun magar
le ke aai kashish-e-ishq mah-e-kaamil tak
kushta-e-tegh-e-nazar hone ki chahat mein 'payam'
KHud khinche aae hain ushshaq ku-e-qatil tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.