ek tufan ka saman bani hai koi chiz
ek tūfān kā sāmān banī hai koī chiiz
aisā lagtā hai kahīñ chhūT ga.ī hai koī chiiz
sab ko ik saath bahā.e liye jaatā hai ye sail
vo talātum hai ki achchhī na burī hai koī chiiz
ek maiñ kyā ki mah o saal uḌe jaate haiñ
ai havā tujh se zamāne meñ bachī hai koī chiiz
ishq ne ḳhud ruḳh-e-gulnār ko baḳhshā hai faroġh
varna kab apne banā.e se banī hai koī chiiz
yaanī zaḳhmoñ ke gulistāñ pe bahār aa ga.ī phir
yaanī ab bhī mirī āshufta-sarī hai koī chiiz
shā.irī kyā hai mujhe bhī nahīñ mālūm magar
log kahte haiñ ki ye dil kī lagī hai koī chiiz
ek tufan ka saman bani hai koi chiz
aisa lagta hai kahin chhuT gai hai koi chiz
sab ko ek sath bahae liye jata hai ye sail
wo talatum hai ki achchhi na buri hai koi chiz
ek main kya ki mah o sal uDe jate hain
ai hawa tujh se zamane mein bachi hai koi chiz
ishq ne KHud ruKH-e-gulnar ko baKHsha hai farogh
warna kab apne banae se bani hai koi chiz
yani zaKHmon ke gulistan pe bahaar aa gai phir
yani ab bhi meri aashufta-sari hai koi chiz
shairi kya hai mujhe bhi nahin malum magar
log kahte hain ki ye dil ki lagi hai koi chiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.