ek umr lagti hai aashiyan banane mein
ek 'umr lagtī hai āshiyāñ banāne meñ
aur pal nahīñ lagtā bijliyāñ girāne meñ
pūchhte ho kyā mujh se kaun sī hai ye manzil
tīrgī sulagtī hai ik diyā jalāne meñ
kaun ḳhvāb dekhegā dūsrī rifāqat ke
zindagī batā dī hai tum ko bhuul jaane meñ
shab-gazīda shahzādī saj-sañvar ke aa.iye
jugnuoñ ke gahne haiñ raat ke ḳhazāne meñ
muntazir thī maiñ kab se ik tirī navāzish kī
der kyoñ lagāte ho aañkh ko uThāne meñ
aur sabhī gile shikve phir kabhī uThā rakhnā
vaqt biit jā.egā aap ko manāne meñ
ham-safar mire hamdam rāsta vahī manzil
is qadar takalluf kyoñ hāl-e-dil sunāne meñ
ek 'umr lagti hai aashiyan banane mein
aur pal nahin lagta bijliyan girane mein
puchhte ho kya mujh se kaun si hai ye manzil
tirgi sulagti hai ek diya jalane mein
kaun KHwab dekhega dusri rifaqat ke
zindagi bata di hai tum ko bhul jaane mein
shab-gazida shahzadi saj-sanwar ke aaiye
jugnuon ke gahne hain raat ke KHazane mein
muntazir thi main kab se ek teri nawazish ki
der kyon lagate ho aankh ko uThane mein
aur sabhi gile shikwe phir kabhi uTha rakhna
waqt bit jaega aap ko manane mein
ham-safar mere hamdam rasta wahi manzil
is qadar takalluf kyon haal-e-dil sunane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.