ek unche makan ki baaten hain
ek ūñche makāñ kī bāteñ haiñ
apnī bas āsmāñ kī bāteñ haiñ
kuchh tirī qurbatoñ se vābasta
kuchh to vaqt-e-nihāñ kī bāteñ haiñ
kal jo dard-e-nihāñ hamāre the
aaj saare jahāñ kī bāteñ haiñ
mai-kada mashġhala rahā merā
hosh-e-hastī kahāñ kī bāteñ haiñ
kaun kartā hai pyaar kī bāteñ
ab to tīr-o-kamāñ kī bāteñ haiñ
tū na samjhegā vā’iz-e-nādāñ
jo ye 'ishq-e-butāñ kī bāteñ haiñ
mere maazī kī guftugū saarī
aaj daur-e-ravāñ kī bāteñ haiñ
shādmānī surūr-o-jām-o-subū
terī tere jahāñ kī bāteñ haiñ
kuchh kahāñ hai 'ḳhayāl' poshīda
dil kī bāteñ zamāñ kī bāteñ haiñ
ek unche makan ki baaten hain
apni bas aasman ki baaten hain
kuchh teri qurbaton se wabasta
kuchh to waqt-e-nihan ki baaten hain
kal jo dard-e-nihan hamare the
aaj sare jahan ki baaten hain
mai-kada mashghala raha mera
hosh-e-hasti kahan ki baaten hain
kaun karta hai pyar ki baaten
ab to tir-o-kaman ki baaten hain
tu na samjhega wa’iz-e-nadan
jo ye 'ishq-e-butan ki baaten hain
mere mazi ki guftugu sari
aaj daur-e-rawan ki baaten hain
shadmani surur-o-jam-o-subu
teri tere jahan ki baaten hain
kuchh kahan hai 'KHayal' poshida
dil ki baaten zaman ki baaten hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.