ek wahi mamul nibhana hoga phir
ek vahī ma.amūl nibhānā hogā phir
ḳhud ko kho kar ḳhud ko paanā hogā phir
rāhguzar tanhā.ī kī hai dhyān rahe
raste meñ hī ek zamāna hogā phir
raah bhaTak jaao ab ke ye mumkin hai
par is jañgal meñ se jaanā hogā phir
jin kī āsānī hī jin kī mushkil hai
un lafzoñ ko hī dohrānā hogā phir
vo phaldār daraḳht girāyā āñdhī ne
un kā ab kis or nishāna hogā phir
aaj to us se merī rāteñ raushan haiñ
kal ko jab ye zaḳhm purānā hogā phir
kab sochā thā chuppī bolegī aise
āvāzoñ se yuuñ vīrāna hogā phir
sahrā meñ jo ḳhaak uḌī hai be-mausam
dekho to vo hī dīvāna hogā phir
ek wahi mamul nibhana hoga phir
KHud ko kho kar KHud ko pana hoga phir
rahguzar tanhai ki hai dhyan rahe
raste mein hi ek zamana hoga phir
rah bhaTak jao ab ke ye mumkin hai
par is jangal mein se jaana hoga phir
jin ki aasani hi jin ki mushkil hai
un lafzon ko hi dohrana hoga phir
wo phaldar daraKHt giraya aandhi ne
un ka ab kis or nishana hoga phir
aaj to us se meri raaten raushan hain
kal ko jab ye zaKHm purana hoga phir
kab socha tha chuppi bolegi aise
aawazon se yun virana hoga phir
sahra mein jo KHak uDi hai be-mausam
dekho to wo hi diwana hoga phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.