ek vaqtī ḳhushī nahīñ hotī
'āshiqī dil-lagī nahīñ hotī
bhuuk āñkhoñ meñ us kī hotī hai
jis kī niyyat bharī nahīñ hotī
soch meñ gar na ik nayā-pan ho
she'r meñ tāzgī nahīñ hotī
har kisī kā na haath thāmā kar
sab kī chāhat kharī nahīñ hotī
mulk aisā koī batā diije
jis meñ 'ismat-darī nahīñ hotī
sach to ye hai ki haq-parastoñ meñ
ḳhaslat-e-sāmrī nahīñ hotī
us kī rūmānvī adā par bhī
dil meñ ab gudgudī nahīñ hotī
dost mushkil meñ gar na kaam aa.e
dostī kaam kī nahīñ hotī
phuul khiltā nahīñ mohabbat kā
shāḳh-e-dil jab harī nahīñ hotī
'ishq az-ḳhud hī ek jaadū hai
is meñ jādūgarī nahīñ hotī
pyaar us ko nikhār detā hai
jo bhī laḌkī parī nahīñ hotī
ek waqti KHushi nahin hoti
'ashiqi dil-lagi nahin hoti
bhuk aankhon mein us ki hoti hai
jis ki niyyat bhari nahin hoti
soch mein gar na ek naya-pan ho
she'r mein tazgi nahin hoti
har kisi ka na hath thama kar
sab ki chahat khari nahin hoti
mulk aisa koi bata dije
jis mein 'ismat-dari nahin hoti
sach to ye hai ki haq-paraston mein
KHaslat-e-samri nahin hoti
us ki rumanwi ada par bhi
dil mein ab gudgudi nahin hoti
dost mushkil mein gar na kaam aae
dosti kaam ki nahin hoti
phul khilta nahin mohabbat ka
shaKH-e-dil jab hari nahin hoti
'ishq az-KHud hi ek jadu hai
is mein jadugari nahin hoti
pyar us ko nikhaar deta hai
jo bhi laDki pari nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.