ek zanjir hai silsila jism ka
ek zanjīr hai silsila jism kā
ḳhatm hotā nahīñ rābta jism kā
jazba-e-nā-tavāñ ko mayassar nahīñ
māñgtā hai lahū zā.iqa jism kā
lamha lamha ajab kaifiyat maujzan
tajraboñ se judā tajraba jism kā
dast-o-pā chāñdnī chashm-o-lab chāñdnī
sāf-o-shaffāf hai ā.īna jism kā
bā.is-e-qurbat-e-rishta-e-jān-o-dil
fard aur fard se rābta jism kā
tanhā uryāñ badan aur vahshī zaġhan
ḳhauf-añgez hai vāqi.a jism kā
merī āñkhoñ meñ 'shāhid' Thahartā nahīñ
kitnā pur-pech hai zāviya jism kā
ek zanjir hai silsila jism ka
KHatm hota nahin rabta jism ka
jazba-e-na-tawan ko mayassar nahin
mangta hai lahu zaiqa jism ka
lamha lamha ajab kaifiyat maujzan
tajrabon se juda tajraba jism ka
dast-o-pa chandni chashm-o-lab chandni
saf-o-shaffaf hai aaina jism ka
bais-e-qurbat-e-rishta-e-jaan-o-dil
fard aur fard se rabta jism ka
tanha uryan badan aur wahshi zaghan
KHauf-angez hai waqia jism ka
meri aankhon mein 'shahid' Thaharta nahin
kitna pur-pech hai zawiya jism ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.