ewaz kab wafa ka wafa mangte hain
evaz kab vafā kā vafā māñgte haiñ
salāmat raho ye duā māñgte haiñ
sadā-e-faqīr aur kyā hoñgī zālim
ḳhudā se tirā ham bhalā māñgte haiñ
ye chhup-chhup ke shām-o-sahar rone vaale
ye kyā chāhte haiñ ye kyā māñgte haiñ
miTā de hameñ ai mohabbat miTā de
ham apne kiye kī sazā māñgte haiñ
karam kar na jā ham faqīroñ kī ḳhū par
faqīroñ kā kyā hai sadā māñgte haiñ
yūñhī ban gayā 'soz' dushman zamāna
ki ham kab kisī kā burā māñgte haiñ
ewaz kab wafa ka wafa mangte hain
salamat raho ye dua mangte hain
sada-e-faqir aur kya hongi zalim
KHuda se tera hum bhala mangte hain
ye chhup-chhup ke sham-o-sahar rone wale
ye kya chahte hain ye kya mangte hain
miTa de hamein ai mohabbat miTa de
hum apne kiye ki saza mangte hain
karam kar na ja hum faqiron ki KHu par
faqiron ka kya hai sada mangte hain
yunhi ban gaya 'soz' dushman zamana
ki hum kab kisi ka bura mangte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.