faeda us mein ho ya apna KHasara chahiye
fā.eda us meñ ho yā apnā ḳhasārā chāhiye
chāhiye to bas vahī parvardigārā chāhiye
us ne mujh se phuul māñgā to mujhe hairat huī
laḌkiyoñ ko maiñ samajhtā thā sitārā chāhiye
ḳhud-kushī kī raah par maiñ hī nahīñ maa.il yahāñ
peḌ bhī āvāz dete haiñ ki aarā chāhiye
baaġh kahte haiñ use laayā karo tum sair ko
phuul kahte haiñ hameñ us kā utārā chāhiye
maiñ badan aur ruuh meñ tafrīq kar saktā nahīñ
jo tumhāre paas hai saare kā saarā chāhiye
koī dariyā is ilāqe kī ḳhabar-gīrī ko aa.e
ret hotī sar-zamīnoñ ko sahārā chāhiye
ham nahīñ kuufī qabīle se jo dhokā deñ tumheñ
dil hamārā chāhiye yā sar hamārā chāhiye
faeda us mein ho ya apna KHasara chahiye
chahiye to bas wahi parwardigara chahiye
us ne mujh se phul manga to mujhe hairat hui
laDkiyon ko main samajhta tha sitara chahiye
KHud-kushi ki rah par main hi nahin mail yahan
peD bhi aawaz dete hain ki aara chahiye
bagh kahte hain use laya karo tum sair ko
phul kahte hain hamein us ka utara chahiye
main badan aur ruh mein tafriq kar sakta nahin
jo tumhaare pas hai sare ka sara chahiye
koi dariya is ilaqe ki KHabar-giri ko aae
ret hoti sar-zaminon ko sahaara chahiye
hum nahin kufi qabile se jo dhoka den tumhein
dil hamara chahiye ya sar hamara chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.