faKHtaon ke bikhere hue par le jao
fāḳhtāoñ ke bikhere hue par le jaao
ye zarūrī hai yahī raḳht-e-safar le jaao
aur to kyā hī bachā aañkh ke vīrāne meñ
hai koī ḳhvāb sā ik rāt-badar le jaao
ai bhaTakne ke irāde se nikalne vaalo
ham se kuchh dasht-navardī kā hunar le jaao
ek kashtī baḌī itrā.e hai dariyā uupar
us ke gāloñ meñ jo paḌte haiñ bhañvar le jaao
baiThe baiThe maiñ kahīñ aur chalā jaatā huuñ
yaar tum apnī mohabbat kā asar le jaao
ham ne jhuk kar nahīñ aane kī qasam khaa.ī hai
pahle māthe se ulajhtā huā dar le jaao
hukm-e-sultān kī ta.amīl tumhāre liye hai
maiñ nahīñ jā rahā chāho to ye sar le jaao
faKHtaon ke bikhere hue par le jao
ye zaruri hai yahi raKHt-e-safar le jao
aur to kya hi bacha aankh ke virane mein
hai koi KHwab sa ek raat-badar le jao
ai bhaTakne ke irade se nikalne walo
hum se kuchh dasht-nawardi ka hunar le jao
ek kashti baDi itrae hai dariya upar
us ke galon mein jo paDte hain bhanwar le jao
baiThe baiThe main kahin aur chala jata hun
yar tum apni mohabbat ka asar le jao
hum ne jhuk kar nahin aane ki qasam khai hai
pahle mathe se ulajhta hua dar le jao
hukm-e-sultan ki tamil tumhaare liye hai
main nahin ja raha chaho to ye sar le jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.