faqa-maston se chhin gai aawaz
fāqa-mastoñ se chhin ga.ī āvāz
de rahā huuñ galī galī āvāz
apnī apnī paḌī thī yāroñ ko
kaun suntā yahāñ mirī āvāz
ek dahshat fazā meñ phailī thī
sab pe haavī thī tīsrī āvāz
ye ghuTan mujh ko maar Dālegī
band karte ho kyoñ mirī āvāz
ahl-e-dil sānahe pe ġhaur kareñ
jism zinda hai mar ga.ī āvāz
haiñ parinde shajar pe sahme hue
aa rahī hai ik ajnabī āvāz
mere muñh meñ bilā-zarūrat thī
maiñ ne kuuḌe meñ pheñk dī āvāz
faqa-maston se chhin gai aawaz
de raha hun gali gali aawaz
apni apni paDi thi yaron ko
kaun sunta yahan meri aawaz
ek dahshat faza mein phaili thi
sab pe hawi thi tisri aawaz
ye ghuTan mujh ko mar Dalegi
band karte ho kyon meri aawaz
ahl-e-dil sanahe pe ghaur karen
jism zinda hai mar gai aawaz
hain parinde shajar pe sahme hue
aa rahi hai ek ajnabi aawaz
mere munh mein bila-zarurat thi
main ne kuDe mein phenk di aawaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.