fasiq jo agar aashiq-e-diwana hua to kya
fāsiq jo agar āshiq-e-dīvāna huā to kyā
duniyā ke matālib ko farzāna huā to kyā
ġhaflat meñ koī paḌ kar gar umr ko kho Daale
ba.ad is ke agar samjhā phir syānā huā to kyā
ye umr ġhanīmat hai jo dam ki guzartā hai
gar ḳhāna huā to kyā vīrāna huā to kyā
nazzāra to kar ai dil ho shaan meñ dilbar kā
gar bhūkā jo Tal jaave phir khānā huā to kyā
de jaam talattuf se saaqī ba-lab-e-tishna
dil pyaas se jab kumlā paimāna huā to kyā
hai kaam sute matlab bar aave kisī Dhab se
ka.aba jo huā to kyā but-ḳhāna huā to kyā
jo mard-e-yagāna hai nafs apne se laḌtā hai
gar aur tarah koī mardāna huā to kyā
uljhā hai ye dil pyāre zulf apnī ko suljhāve
jab mar ga.e jaanī ham phir shāna huā to kyā
mukhḌe kī jhamak sājan Tuk ham ko bhī dikhlāo
gar aage raqīboñ ke jhamkāna huā to kyā
gar sair mayassar ho tujh husn ke bāġhistāñ
ba.ad is ke agar mujh ko mar jaanā huā to kyā
dil apne begāne se kuchh ham ne na phal paayā
gar apnā huā to kyā begāna huā to kyā
kahtā thā maiñ is dil ko āshiq to nahīñ honā
ab bas ke agar samjhā pachhtānā huā to kyā
mastāna hamesha raho ai āshiq-e-'afrīdī'
be-ishq agar koī mardāna huā to kyā
fasiq jo agar aashiq-e-diwana hua to kya
duniya ke matalib ko farzana hua to kya
ghaflat mein koi paD kar gar umr ko kho Dale
baad is ke agar samjha phir syana hua to kya
ye umr ghanimat hai jo dam ki guzarta hai
gar KHana hua to kya virana hua to kya
nazzara to kar ai dil ho shan mein dilbar ka
gar bhuka jo Tal jawe phir khana hua to kya
de jam talattuf se saqi ba-lab-e-tishna
dil pyas se jab kumla paimana hua to kya
hai kaam sute matlab bar aawe kisi Dhab se
kaba jo hua to kya but-KHana hua to kya
jo mard-e-yagana hai nafs apne se laDta hai
gar aur tarah koi mardana hua to kya
uljha hai ye dil pyare zulf apni ko suljhawe
jab mar gae jaani hum phir shana hua to kya
mukhDe ki jhamak sajan Tuk hum ko bhi dikhlao
gar aage raqibon ke jhamkana hua to kya
gar sair mayassar ho tujh husn ke baghistan
baad is ke agar mujh ko mar jaana hua to kya
dil apne begane se kuchh hum ne na phal paya
gar apna hua to kya begana hua to kya
kahta tha main is dil ko aashiq to nahin hona
ab bas ke agar samjha pachhtana hua to kya
mastana hamesha raho ai aashiq-e-'afridi'
be-ishq agar koi mardana hua to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.