Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasla jab mujhe ehsas-e-thakan baKHshega

Mushtaq Aazar Fareedi

fasla jab mujhe ehsas-e-thakan baKHshega

Mushtaq Aazar Fareedi

MORE BYMushtaq Aazar Fareedi

    fāsla jab mujhe ehsās-e-thakan baḳhshegā

    paañv ko phuul bhī kāñToñ chubhan baḳhshegā

    kitne sūraj isī jazbe se ugaa.e maiñ ne

    koī sūraj to mere ghar ko kiran baḳhshegā

    chāhtā huuñ ki kabhī mujh ko bhī bistar ho nasīb

    jaane kis roz ḳhudā mujh ko badan baḳhshegā

    log kahte haiñ ki sahrā ko gulistāñ kah do

    us ke badle meñ vo chāñdī ke saman baḳhshegā

    be-libāsī kareñ bhī to gilā kis se kareñ

    zinda lāshoñ ko yahāñ kaun kafan baḳhshegā

    sirf do-chār daraḳhtoñ pe qanā.at kaisī

    vo sakhī hai to mujhe saarā chaman baḳhshegā

    chhīn kar mujh se vo lamhoñ latāfat 'āzar'

    zehn-e-āsūda ko sadiyoñ thakan baḳhshegā

    fasla jab mujhe ehsas-e-thakan baKHshega

    panw ko phul bhi kanTon ki chubhan baKHshega

    kitne suraj isi jazbe se ugae main ne

    koi suraj to mere ghar ko kiran baKHshega

    chahta hun ki kabhi mujh ko bhi bistar ho nasib

    jaane kis roz KHuda mujh ko badan baKHshega

    log kahte hain ki sahra ko gulistan kah do

    us ke badle mein wo chandi ke saman baKHshega

    be-libasi ka karen bhi to gila kis se karen

    zinda lashon ko yahan kaun kafan baKHshega

    sirf do-chaar daraKHton pe qanaat kaisi

    wo sakhi hai to mujhe sara chaman baKHshega

    chhin kar mujh se wo lamhon ki latafat 'azar'

    zehn-e-asuda ko sadiyon ki thakan baKHshega

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now