fasla tujhse baDhane ke liye socha hai
fāsla tujh se baḌhāne ke liye sochā hai
ab tujhe dil se bhulāne ke liye sochā hai
jo nikaltā hai kabhī jang meñ talvāroñ se
ham ne vo giit bhī gaane ke liye sochā hai
aaj kī raat koī kaam nahīñ hai ham ko
terī tasvīr jalāne ke liye sochā hai
tū ne nafrat hī kahāñ dekhī hai dīvānoñ kī
raah meñ ḳhaak uḌāne ke liye sochā hai
aaj se rasm badal jā.egī maiḳhāne kī
piine vāloñ ne pilāne ke liye sochā hai
ham vo darvesh haiñ ghar-bār luTā kar apnā
jab bhī sochā hai zamāne ke liye sochā hai
fasla tujh se baDhane ke liye socha hai
ab tujhe dil se bhulane ke liye socha hai
jo nikalta hai kabhi jang mein talwaron se
hum ne wo git bhi gane ke liye socha hai
aaj ki raat koi kaam nahin hai hum ko
teri taswir jalane ke liye socha hai
tu ne nafrat hi kahan dekhi hai diwanon ki
rah mein KHak uDane ke liye socha hai
aaj se rasm badal jaegi maiKHane ki
pine walon ne pilane ke liye socha hai
hum wo darwesh hain ghar-bar luTa kar apna
jab bhi socha hai zamane ke liye socha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.