faisla hi ghalat kiya maine
faisla hī ġhalat kiyā maiñ ne
ḳhud tirā hijr chun liyā maiñ ne
koī shikva gila kiyā maiñ ne
jo diyā tū ne rakh liyā maiñ ne
jab bhī yaad aa.e dard ke panchhī
ik parinda rihā kiyā maiñ ne
kis qadar dekh jazb huuñ tujh meñ
tū ne sochā to sun liyā maiñ ne
phir udheḌūñgī dard ke sweater
ḳhvāb hī aisā bun liyā maiñ ne
chashm-e-bīnā pe hai asar tirā
aks āñkhoñ meñ bhar liyā maiñ ne
ab tasallī se baat karte haiñ
ḳhvāhishoñ ko sulā diyā maiñ ne
ab na terī sunūñgī maiñ 'tārā'
terā ab tak kahā kiyā maiñ ne
faisla hi ghalat kiya main ne
KHud tera hijr chun liya main ne
koi shikwa gila kiya main ne
jo diya tu ne rakh liya main ne
jab bhi yaad aae dard ke panchhi
ek parinda riha kiya main ne
kis qadar dekh jazb hun tujh mein
tu ne socha to sun liya main ne
phir udheDungi dard ke sweater
KHwab hi aisa bun liya main ne
chashm-e-bina pe hai asar tera
aks aankhon mein bhar liya main ne
ab tasalli se baat karte hain
KHwahishon ko sula diya main ne
ab na teri sunungi main 'tara'
tera ab tak kaha kiya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.