faisla jab bhi mere yar kiya jaega
faisla jab bhī mire yaar kiyā jā.egā
saarī bastī ko ḳhabar-dār kiyā jā.egā
naam lete hue ā.eñge divāne merā
dasht-e-vahshat ko agar paar kiyā jā.egā
ham se andhoñ ko tirī shakl dikhā.ī degī
aam aise tirā dīdār kiyā jā.egā
pahle sab ḳhvāb zamīñ-burd kiye jā.eñge
phir mujhe niiñd se bedār kiyā jā.egā
bas isī aas pe baiThe haiñ tirī chaukhaT par
vaqt aa.egā to iz.hār kiyā jā.egā
lauT ā.eñgī bahāreñ mire vīrāne meñ
ḳhushk peḌoñ ko samar-bār kiyā jā.egā
tere aalam kī sabhī nazm badal saktī hai
ham faqīroñ ko agar ḳhvār kiyā jā.egā
ātish-e-hijr meñ ho jā.eñge jab surḳh badan
tab kahīñ aag ko gulzār kiyā jā.egā
faisla jab bhi mere yar kiya jaega
sari basti ko KHabar-dar kiya jaega
nam lete hue aaenge diwane mera
dasht-e-wahshat ko agar par kiya jaega
hum se andhon ko teri shakl dikhai degi
aam aise tera didar kiya jaega
pahle sab KHwab zamin-burd kiye jaenge
phir mujhe nind se bedar kiya jaega
bas isi aas pe baiThe hain teri chaukhaT par
waqt aaega to izhaar kiya jaega
lauT aaengi bahaaren mere virane mein
KHushk peDon ko samar-bar kiya jaega
tere aalam ki sabhi nazm badal sakti hai
hum faqiron ko agar KHwar kiya jaega
aatish-e-hijr mein ho jaenge jab surKH badan
tab kahin aag ko gulzar kiya jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.