faisla koi mere haq mein hua hai shayad
faisla koī mire haq meñ huā hai shāyad
mausam-e-gul mire āñgan meñ rukā hai shāyad
muddatoñ ba.ad kiyā rābta us ne to lagā
us ko ehsās-e-peshemānī huā hai shāyad
aao ik baar kitāboñ ko khañgālā jaa.e
phuul jo us ne diyā thā vo rakhā hai shāyad
naġhma-zan tār-e-nafas meñ haiñ usī kī yādeñ
dhaḌkanoñ meñ bhī vahī bol rahā hai shāyad
us se pahle sā ravābit meñ tasalsul na rahā
darmiyāñ donoñ ke ab koī ḳhalā hai shāyad
vaqt-e-ruḳhsat bhī na chehre pe shikan thī us ke
saaf zāhir thā vo kuchh soch chukā hai shāyad
ratjage karvaTeñ bechainī udāsī uljhan
us kī yādoñ kā varaq koī khulā hai shāyad
muztarib kitne hī sajde haiñ jabīñ par merī
ma.abad-e-ishq meñ vo jalva-numā hai shāyad
vādī-e-jism burūdat se dahak uThī hai
fasl-e-bārāñ kī havāoñ ne chhuā hai shāyad
bārhā mushkileñ ho jaatī haiñ āsāñ 'amabar'
tere haq meñ bhī kisī lab pe duā hai shāyad
faisla koi mere haq mein hua hai shayad
mausam-e-gul mere aangan mein ruka hai shayad
muddaton baad kiya rabta us ne to laga
us ko ehsas-e-peshemani hua hai shayad
aao ek bar kitabon ko khangala jae
phul jo us ne diya tha wo rakha hai shayad
naghma-zan tar-e-nafas mein hain usi ki yaaden
dhaDkanon mein bhi wahi bol raha hai shayad
us se pahle sa rawabit mein tasalsul na raha
darmiyan donon ke ab koi KHala hai shayad
waqt-e-ruKHsat bhi na chehre pe shikan thi us ke
saf zahir tha wo kuchh soch chuka hai shayad
ratjage karwaTen bechaini udasi uljhan
us ki yaadon ka waraq koi khula hai shayad
muztarib kitne hi sajde hain jabin par meri
mabad-e-ishq mein wo jalwa-numa hai shayad
wadi-e-jism burudat se dahak uThi hai
fasl-e-baran ki hawaon ne chhua hai shayad
barha mushkilen ho jati hain aasan 'amabar'
tere haq mein bhi kisi lab pe dua hai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.