faisla ye ho na paya roz ki baaton ke baad
faisla ye ho na paya roz ki baaton ke baad
Mushtaq Ahmad Mushtaq
MORE BYMushtaq Ahmad Mushtaq
faisla ye ho na paayā roz kī bātoñ ke baad
ḳhuun ke dhabbe dhuleñge kitnī barsātoñ ke baad
be-yaqīnī ḳhauf donoñ meñ rahegā kab talak
mil sakeñge khul ke ham kitnī mulāqātoñ ke baad
aap ne jo kuchh kahā jitnā kahā sab mustanad
baat koī kyā karegā aap kī bātoñ ke baad
ek ik mohara sañbhal kar rakh bisāt-e-adl par
aaj baazī haath aa.ī hai ka.ī mātoñ ke baad
apne hisse ke charāġhoñ kī lavoñ ko dekh kar
sub.h kī ummīd jaagī hai ka.ī rātoñ ke baad
baad mere ḳhuun kāġhaz par na Tapkegā kabhī
haath koī shal nahīñ hogā mire hāthoñ ke baad
ḳhud ko phir 'mushtāq' sannāTā banānā Thiik hai
baat jab bantī nazar aa.e nahīñ bātoñ ke baad
faisla ye ho na paya roz ki baaton ke baad
KHun ke dhabbe dhulenge kitni barsaton ke baad
be-yaqini KHauf donon mein rahega kab talak
mil sakenge khul ke hum kitni mulaqaton ke baad
aap ne jo kuchh kaha jitna kaha sab mustanad
baat koi kya karega aap ki baaton ke baad
ek ek mohara sanbhal kar rakh bisat-e-adl par
aaj bazi hath aai hai kai maton ke baad
apne hisse ke charaghon ki lawon ko dekh kar
subh ki ummid jagi hai kai raaton ke baad
baad mere KHun kaghaz par na Tapkega kabhi
hath koi shal nahin hoga mere hathon ke baad
KHud ko phir 'mushtaq' sannaTa banana Thik hai
baat jab banti nazar aae nahin baaton ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.