faiz-e-taKHil se pahuncha main gulistan ke qarib
faiz-e-taḳh.īl se pahuñchā maiñ gulistāñ ke qarīb
aa chalā qāfila dil kā dar-e-zindāñ ke qarīb
jazb-e-dil le hī gayā husn-e-gurezāñ ke qarīb
kaisā aalam hai mire dīda-e-hairāñ ke qarīb
duur hangāma-e-tahzīb se tal.at-ba-kanār
jalva-e-mehr kī tanvīr bayābāñ ke qarīb
dil meñ ik hasrat-e-ḳhāmosh kā tūfān uThā
fāsle baḌhte ga.e manzil-e-jānāñ ke qarīb
kaun jaane kahāñ le jā.egī vahshat merī
ek sahrā bhī to hai shahr-e-nigārāñ ke qarīb
maiñ ne ashjār ke kunjoñ meñ pukārā tum ko
aa ke tum lauT ga.e parda-e-mizhgāñ ke qarīb
har ghaḌī shauq ko hai chashm-e-fusūñ-sāz kī yaad
be-ḳhudī le ga.ī sahrā meñ ġhazālāñ ke qarīb
sāhil-e-amn meñ āġhosh-e-mohabbat be-kaif
kaash kashtī mirī pahuñche kabhī tūfāñ ke qarīb
faiz-e-taKHil se pahuncha main gulistan ke qarib
aa chala qafila dil ka dar-e-zindan ke qarib
jazb-e-dil le hi gaya husn-e-gurezan ke qarib
kaisa aalam hai mere dida-e-hairan ke qarib
dur hangama-e-tahzib se talat-ba-kanar
jalwa-e-mehr ki tanwir bayaban ke qarib
dil mein ek hasrat-e-KHamosh ka tufan uTha
fasle baDhte gae manzil-e-jaanan ke qarib
kaun jaane kahan le jaegi wahshat meri
ek sahra bhi to hai shahr-e-nigaran ke qarib
main ne ashjar ke kunjon mein pukara tum ko
aa ke tum lauT gae parda-e-mizhgan ke qarib
har ghaDi shauq ko hai chashm-e-fusun-saz ki yaad
be-KHudi le gai sahra mein ghazalan ke qarib
sahil-e-amn mein aaghosh-e-mohabbat be-kaif
kash kashti meri pahunche kabhi tufan ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.