faiz-mamur fazaon se lipaT kar ro len
faiz-mamur fazaon se lipaT kar ro len
Tahniyatunnisa Begam Tahniyat
MORE BYTahniyatunnisa Begam Tahniyat
faiz-māmūr fazāoñ se lipaT kar ro leñ
phir madīne kī havāoñ se lipaT kar ro leñ
vaqt-e-ruḳhsat dil-e-muztar kī tamannā thī yahī
aap ke dar ke gadāoñ se lipaT kar ro leñ
abr chhāyā hai havā.eñ haiñ madīne se haiñ duur
jī taḌaptā hai ghaTāoñ se lipaT kar ro leñ
hashr meñ in ke sabab vo mutavajjah hoñge
kyuuñ na ham apnī ḳhatāoñ se lipaT kar ro leñ
ham se behtar haiñ ki un tak ye pahuñch jaatī haiñ
inhī ḳhush-baḳht duāoñ se lipaT kar ro leñ
karbalā hī ke tasavvur se ye aatā hai ḳhayāl
dahr kī saarī balāoñ se lipaT kar ro leñ
qadr-dāñ in ke haiñ jab vo shah-e-ḳhūbān-e-jahāñ
'tahniyat' apnī vafāoñ se lipaT kar ro leñ
faiz-mamur fazaon se lipaT kar ro len
phir madine ki hawaon se lipaT kar ro len
waqt-e-ruKHsat dil-e-muztar ki tamanna thi yahi
aap ke dar ke gadaon se lipaT kar ro len
abr chhaya hai hawaen hain madine se hain dur
ji taDapta hai ghaTaon se lipaT kar ro len
hashr mein in ke sabab wo mutawajjah honge
kyun na hum apni KHataon se lipaT kar ro len
hum se behtar hain ki un tak ye pahunch jati hain
inhi KHush-baKHt duaon se lipaT kar ro len
karbala hi ke tasawwur se ye aata hai KHayal
dahr ki sari balaon se lipaT kar ro len
qadr-dan in ke hain jab wo shah-e-KHuban-e-jahan
'tahniyat' apni wafaon se lipaT kar ro len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.