falak aur bhi hain zamin aur bhi hain
falak aur bhī haiñ zamīñ aur bhī haiñ
ḳhudā ke hasīñ jā-nashīñ aur bhī haiñ
mire hī liye kyoñ likho shā'irī tum
jahāñ meñ ka.ī āfrīñ aur bhī haiñ
mujhe rashk kyoñ hai kahānī pe apne
mohabbat ke qisse hasīñ aur bhī haiñ
ye sūraj ye taare ye chāñd aur duniyā
yahāñ haiñ magar kyā kahīñ aur bhī haiñ
'ananyā' abhī saañp nikle nahīñ sab
abhī baaqī kuchh āstīñ aur bhī haiñ
falak aur bhi hain zamin aur bhi hain
KHuda ke hasin ja-nashin aur bhi hain
mere hi liye kyon likho sha'iri tum
jahan mein kai aafrin aur bhi hain
mujhe rashk kyon hai kahani pe apne
mohabbat ke qisse hasin aur bhi hain
ye suraj ye tare ye chand aur duniya
yahan hain magar kya kahin aur bhi hain
'ananya' abhi sanp nikle nahin sab
abhi baqi kuchh aastin aur bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.