falak ka har sitara mah-e-taban ho nahin sakta
falak kā har sitāra māh-e-tābāñ ho nahīñ saktā
har ik zarra kabhī mahr-e-daraḳhshāñ ho nahīñ saktā
har ik chashme kā paanī āb-e-haivāñ ho nahīñ saktā
har ik qatra jo girtā hai vo naisāñ ho nahīñ saktā
jo bulbul se ho ḳhālī vo gulistāñ ho nahīñ saktā
jo dard-e-dil se ḳhālī ho vo insāñ ho nahīñ saktā
chaman kā bāġhbāñ koī sitam-rāñ ho nahīñ saktā
koī sayyād bulbul kā nigahbāñ ho nahīñ saktā
jahāñ par hoñ 'arastū' aur 'luqmāñ' zīnat-e-mahfil
vahāñ kā sadr-e-mahfil koī nādāñ ho nahīñ saktā
vafā kar ke bhī ham haiñ taḳhta-e-mashq-e+sitam-rānī
jafā-kāroñ se apnā ahd-o-paimāñ ho nahīñ saktā
dharam ko diin ko maz.hab ko aapas meñ jo Takrā.e
vo hindū ho nahīñ saktā musalmāñ ho nahīñ saktā
tire bahr-e-sukūñ meñ ek tūfāñ kī zarūrat hai
taḌap paidā na ho jab tak vo tūfāñ ho nahīñ saktā
uThā lā.ūñ na jab tak āsmāñ se māh-o-anjum ko
mire zulmat-kade meñ yuuñ charāġhāñ ho nahīñ saktā
chaman vaalo na ho jis ḳhuuñ meñ rang-o-bū-e-āzādī
kaTā kar sar bhī vo ḳhūn-e-shahīdāñ ho nahīñ saktā
'nishāt'-e-dil-hazīñ Takrā.eñge jā kar falak se ye
agar in dard ke nāloñ kā darmāñ ho nahīñ saktā
falak ka har sitara mah-e-taban ho nahin sakta
har ek zarra kabhi mahr-e-daraKHshan ho nahin sakta
har ek chashme ka pani aab-e-haiwan ho nahin sakta
har ek qatra jo girta hai wo naisan ho nahin sakta
jo bulbul se ho KHali wo gulistan ho nahin sakta
jo dard-e-dil se KHali ho wo insan ho nahin sakta
chaman ka baghban koi sitam-ran ho nahin sakta
koi sayyaad bulbul ka nigahban ho nahin sakta
jahan par hon 'arastu' aur 'luqman' zinat-e-mahfil
wahan ka sadr-e-mahfil koi nadan ho nahin sakta
wafa kar ke bhi hum hain taKHta-e-mashq-e+sitam-rani
jafa-karon se apna ahd-o-paiman ho nahin sakta
dharam ko din ko mazhab ko aapas mein jo Takrae
wo hindu ho nahin sakta musalman ho nahin sakta
tere bahr-e-sukun mein ek tufan ki zarurat hai
taDap paida na ho jab tak wo tufan ho nahin sakta
uTha laun na jab tak aasman se mah-o-anjum ko
mere zulmat-kade mein yun charaghan ho nahin sakta
chaman walo na ho jis KHun mein rang-o-bu-e-azadi
kaTa kar sar bhi wo KHun-e-shahidan ho nahin sakta
'nishat'-e-dil-hazin Takraenge ja kar falak se ye
agar in dard ke nalon ka darman ho nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.